Monday, 17 September 2018

kya  kya tere ghar mein na aag lagi
dil haae tabaah phir bhi na suni

Bahaar e ulfat e beparwaah sahi
Yaas e gul e khandaan tau bachi

aankhon ne nibaahi khoob meri
Jigar hi jo ban boondein tapki

Aakhir e waqt tha lab pe yehi
Fursat na diya pal do pal bhi

Jitne phere le leke bahaar gayi
Maazoor shagufta hua na kabhi


Thursday, 21 September 2017

choti baat

Beshaq dil mein khalal na tha
Par unka ishaara sehal na tha

madaar us shokh pe thi lekin
jaan dena bhi kuch haayal na tha

Shikasta khwaabon ka tha farsh
kuch layaq e deed mahal na tha

meri wafa woh dekh na paate
aur bas mein mere azal na tha

Mazoor ab aisi choti baaton par
kuch kehta bhi tau ghazal na tha

Zehar e wafa

jaane kya lagta hoon is duniya ko main
zehar sa peeta hoon dawaa ko main

Unki aankhon ka suroor ho ya nahi
Phirta hoon liye saath hawaa ko main

sochta hoon ke kya kya hoon main
thukra ke chala hun ab wafa ko main

Meri zeest ke nukta haye zaar lekar
sanwaarne chala hoon duniya ko main

Nadaangi ka maazoor koi ilaaj bhi hai
Ta hadd e nazar paata hoon sehra ko main

Monday, 30 June 2014

Yeh kiska shehr hai?

Itnon ka ghar ho ke bhi yeh kisi ka ghar nahin
Jaane yeh kiska ho magar yeh mera shahr nahin

Tez rau hain aur daawa e mohabbat khoob hain
Makaam e aakhir e ishq se waqif magar nahin

Zor o zar se ghate har ghatna is dayaar mein
Insaniyat o hamdardi o mehr ki kuch khabar nahin

Koi toh dekh le kabhi ik inaayat ki nazar pade
Kismat mein thi nahin tau tadbeer ka asar nahin

Baitha hun main bhi mazoor zer e saaya e deewar
Chalte hazaar hain magar mujh par ek nazar nahin

safar e ishq


Khatm kahaan aur shuroo kahaan hoti hai
Ishq kahiye jise, safar e narawaan hoti hai

Zakhm e pa baais kahaan hai laut jaane ka
Dasht e dil paar pairon pe kahaan hoti hai

Aankh jhapke hai ke yunhi dil dhadke hain
Ishq rachtee hai khoob jo bhi yaan hoti hai

Sitam unka jo jaan apne labon tak laayaa
Sood kitna hai ke yoon bhi ziyaan hoti hai

Surkhi-e-lab se un ke yeh jaana mazoor
suraag yun nahin to tyun ayaan hoti hai

paaydaari e kaar e shouq

Fikr ghultaa nazar nahin aataa
Raahat aataa nazar nahin aataa

Woh tau ghamzon se baaz aaye nahin
Kya mein hanstaa nazar nahin aataa

Woh tha jurra e khud faramoshi
Hosh ab aataa nazar nahin aataa

Karz bhaari tha malaamat ka
Yeh ataa hota nazar nahin aataa

Paa e khasta pe dil e haajatmand
Astaan unka nazar nahin aataa

Wah  tareeq-e-aashnaai maazoor
Jaan yeh mittaa nazar nahin aataa

haalaat e dil

Mere dost yeh aalam kahaan se aayee
Tum ho main hoon aur yeh tanhaayee

Bana hoon kis khaak ka ke hardam
Ek khwahish e gard hai jaise chaayee

Dekh aaye hain hum bhi bahut se manzar
Khoobi o dilkashi magar unheen se aayee

Aastaan tera sajda gaah banaya jab se
Ajab uftaadgi meri mizaaj mein aayee

Dard e dil aur na kheinchta  maazoor
Gar na hota ek wehm e aashnaayee

zeest

Sochta door ki hai kaun is maajma e tez rawaan mein
Jhagda e musalsal e saans e deegar, zeest hai zehn e nadaan mein

Chaunk utha dil soch ke kahin woh tum tau nahin ho?
Dhoondhta phira hoon jise ku ba ku saare jahaan mein

Fitrat ka karaamaat hai, duniya kya hai kahaan ka deen
Lakeer si kheinch lete hain jab chaahein, aab e rawaan mein

Shaair tau kayi aake gaye lekin woh ek saheb e meer
Deegar nahin un sa, wusuate guftaar e dil angez jahaan mein

Dil bhi kaamil tha mera, behel hi jaata tha har haadse ke baad
Lekin tera firaaq bhi kamaal tha ke phir dum na raha naatwaan mein

Shehr e wafaa o husn mein pahuncha magar maazoor
Baithe hue the saaya e deewar mein jun teer kamaan mein

Wednesday, 13 February 2013

Ishq

Haqeeqat e ishq samjhe hain teri berukhee se hum
uthaaye apne paa o amal jin ke liye apni bastee se hum

Pehchaana nahin ke zeest besh az  ashq e nam nahin
Tere gaisuon ki gar laalach ho to jhutkaara e gham nahin
 
Banaate banaate khuda ne goya dil mein shataabi kee
Har cheez be misl banaaye par woh dil haaye tabaahi kee

Tuesday, 16 October 2012

khayaal e be-wajah

Dayaar e dil kabhi choda hi nahin
Un ke siwaa kisi ko dekha hi nahin

But-e-nazuk nigaah bahut aaye lekin
Dil e wehshi pe asar hua hi nahin

Is daud e musalsal jise zindagi kahein
Deenaar-e-ilm dene ka naam leta hi nahin

Firaq ajeeb zehar bo gaya hai dil mein
Ek aarzoo tak waan khilta hi nahin

Suna hai khojne chale hunar ko khalq
Maazoor sa koi ab tau raha hi nahin

Tuesday, 25 September 2012

shehr e dilli

Is shehr e be murawwat ka koi pechida mod tha shaayad
Meer o ghalib bhi phirte the, kisi aur zamaana shaayad

Ab jo dekhun to auraq e mussawir sa nahin koi
sirf ek boo e hawas hai jo dhulke khulega.. shaayad

Par kaun saa aayega woh abr e mehrbaan idhar se
badal degi har nek-jaan ki neeyat yaan hawaa shaayad

phir bhi is kooche ke ek kone mein sajaata hoon main bhi
chand tinke jinhe aur koi na aashiyaan samjha shaayad

apni roz o shab bhi guzarte hain haal-o-behaal idhar
maazoor e naadaan ne isi ko jeena jaana shaayad

Friday, 13 January 2012

saaqi e jaan nawaz

Zehr e halaahal ko mai-e-gulfaam banaake pilaao saaqi
Kushta-e-mehrbaani-e-duniya hoon baahon mein samaa lo saaqi

Woh sai-e-karam-e-beqaraan farmaao, badhaao haath, sambhaalo saaqi
Larzish e paa e maazoor ka mujh hi ko sazaa kyun ho saaqi

Fitrat mein utarti nahin soorat e barbaadi e dehar ab tau
Yeh tere labon ka muskaan nahin ke jo phir se sajaa do saaqi

Badan tau jalke khaak hui, aag e ishq bewajah lagaaya dil ne
Aab e rawaan jhalaktee hai jis me, woh hansi se bujhaa do saaqi

Raunaq e rang-e-baazaari mein sajti hai duniya saari
Raahat e siyaah e zulf e pur-pech phir se phailaao saaqi

Phir aa gaye hain chand tukde dil e maazoor thaame hue
Khoobi e shamsheer e nazar phir se hum pe aazmaao saaqi

Tham sa gaya hai aake tere dar pe kaar e dil e maazoor
Tere saans pe madaar duniya hai, phir kaar e jahaan rawaan ho saaqi

saheb..

Ham bas khayaal o khwaab mein jeete hain saheb
Ek silsila e saans yun hi baandhe hain saheb

Bin pyaala o sharaab, mast hi phirte hain saheb
Jaayein jidhar bhi aapko liye chalte hain saheb

Aab o hawaa e dehar se bezaar ho chale
Mile jidhar baada e nazar, pee hi lete hain saheb

Dil e muztar ki khwahishon se parhez kare hain
Aise jeene ko koi nadaan hi jeena kahe hain saheb

Gharq e hujoom e hawadis ho hi jaate lekin
Bas aap ki dua hain, hum jee lete hain saheb

Aapke kadmon pe sar lagaaye hue tau hai
Banda hun magar nacheez kise kahe hain saheb

Mazoor e muztar liya phirta hain hasham sa aksar
Majlis e weeraana hum khoob sajaate hain saheb

Apni hasti

Us nigaah e naaz ke paaband hai hum
Aah e narawaan ke maanind hai hum

Sochte hain ke kuch kar guzre magar
Unhi ke fikr o zikr mein band hai hum

Phirta tau aasmaan bhi hai, phir un ka kya
Ab ke bahaar mein, naapasand hain hum

Dekh dekh ke ghat-taa hai mol yahaan
jigar apna, jo har haal mein buland hain hum

Aadam e dozakh o khuld koi aur tha lekin
khoob hain, khaak-o-khoon harchand hain hum

Monday, 2 May 2011

rawaani e dard

Dard hai bah rahaa lahoo bankar
Woh tau aaye nazar rafoo bankar

Sad chaak garebaan hai wale mera
Yaad e maajhi rahi, aabroo bankar

Baarha roka naakaami e shouq wale
khwahish e yaar rahi justju bankar

Ham ko har hadd e aashiqui maaloom
Daad aata hai,ehsaan- e - rubaru bankar

Unke aage tau kabhi lab hile hi nahin
Aah o fughaan nikhre guftgoo bankar

Har mauzoon pe jhaa gaya maazoor
Hue kaamil,aashna kabhoo bankar

Sunday, 1 May 2011

Haal e behaal

Dil ka haal nahin behaal
Phir kyun jeena hai muhaal

Lo aatish e ishq ab zor pe hai
Tinkon ka dher khoob sambhaal

Kya mazaaq hai gar marham
Har gham ka hai yaan visaal

Fikr jo thehri yeh zeest apni
Kyun ho na madaar e husn o jamaal

Soo-e-sehra chala baad e saba ke sang
Tikti kahaan aakhir is tarah ka maal

Is waqt..

Mol chukaana hota hai har shaadi ka yahaan
Aansu mein tola jata hai har hansi ka yahaan

Hua hai kaun, kis pe mehrbaan yahaan
Bewafaai hai tareeka Aashnaai ka yahaan

Hai sabaat ek khwaab e wahshee ab bhi
Daad kya paayega koi, dillagi ka yahaan

Paya na laakh dhoondh ke ham ne ai dost
Ma'ani e aijaaz e jaan daahi ka yahaan

Do boond hansi ko tarasta hoon maazoor
Baazaari hain hunar har khushi ka yahaan

raat ka dard

Phir se chhayye hain kaalee raatein
Dil dehlaati hai firaq ki raatein

Khayaal e yaar ajab nuskha tha
Jaagte jaagte kaate wehshi raatein

Har taare mein bhed unka nayaa paata hoon
Kyon na pyaare lage aakhree raatein

Kaun shamaa kaun parwaana hai
Dil jalaa hai aur bujhee raatein

Kaasa hai par likha bahut hai
Hai koi musalsal kahaani raatein

Maah o anjum bas bahaana hai
Kis ke liye sajti sanwartee raatein

Tere paayal sannaate mein haaye
Kaise din the aur thee kaisi raatein

Josh o junoon ajab tha us waqt
Kya kya fasaane banaatee raatein

Siyaahi mein ghultee noor ki boondein
Kya kya fusoon dikhlaatee raatein

Dard ka nagma band ho maazoor
Aankhein kholo chaayee raatein

Dil e Muztar

Phir se waqf e umeed e taameer hai dil
Eent se eent jodne ki taaseer hai dil

Aag e nau panapti hai har simt yahaan
Jaane kis diljale ki jageer hai dil

khaamiyaan numayaan hain har ja mujhe
Kaun se shaks ka dilgeer hai dil

Har nafas aati hai un aankhon ko liye
Sach hai yaaron koi zanjeer hai dil

Khud apna ilaaj e ghum kiye hain ham ne
Sainkadon nuskhon ka zambir hai dil

Khwaahon ki rawaani liye phirti hai mujhe
Maazoor ho koi bhi, inaamgeer hai dil

Shab e furqat

Har zakhm chiragaan hai, aaghaaz e shab e furqat hai
Yaad e yaar mehrbaan hai, humsaaz phir zulmat hai

Dil ko soo-e sehra phir liye jaati hai ummeed e taameer
Apni khwaahon se lipti hui, raqs karti hui, wehshat hai

Sardaari e kaar e jahaan rakhta tha peet kar hum ko
Tarq e taalluq kya qayamat thi, ab fursat hi fursat hai

Zulf hain sona chaandi badan surkh lab aankhein neel
Sar se taa paa e naaz, kya kahein unki kya rangat hai

Kabhi ghoonghat mein chup jaana kabhi aansoo chalkaana
Yoon unki adaayein hai, aur ek apni nazaakat hai

Anjum e chashm

Dil ka pyaala e naa paak bhi aakhir chalak gayi
Unki aankhon mein jo ek anjum chamak gayi

Juz phool daali mein tha hi kya, lachak gayi
Hawa ka chaunka, manchalaa mausam, bahak gayi

Jakad ke rakha tha laakh naakaamion ke tale
Na jaane chashm se kaisi yeh hasrat tapak gayi

Yaad e yaar e khush mizaaj ek nusqha tha aakhir
Zulmat e shab e firaq bhi dekho mehak gayi

Haan kiya tarq e ta'alluk, haan rahi na koi nisbat
Ishq mit-ta kahaan, aakhir lo, sholaa bhadak gayi

Haal kuch anbanaa chashm behka sa hai maazoor
Kin choodion ki yaad, dil e wehshi mein khanak gayi

Umr e rafta

Phir se woh dil e gudaaz kahaan se laaoon
Woh Ishq ka dereena andaaz kahaan se laaon

Dil e khoongashta e jafaa se poocha us ne
Mera woh Aashiq e jaanbaaz kahaan se laaoon

Baal o par bikhre hain ab tau chaar soo ai gul
Phir se, himmat e parwaaz kahaan se laaon

Karta bayaan e shiddat e shouq ham tau hargiz
Saamne unke magar alfaaz kahaan se laaoon

Sau moonh se deta main jawaab e ahl e sitam
Sar kalam hai magar, awaaz kahaan se laaoon

Baaki hai lahu dil mein,jigar sad chaak nahin
Woh ada e kaamil e majaaz kahan se laaon

Jo zulmat e naakaami e ishq se ubhraa na kabhi
Asar-e-ishq o junoon ka Jawaaz kahaan se laaon

safar e dil

Jis kadar yeh jang ladta jaa rahaa hoon main,
Kaun samjhe bas ke jeeta jaa raha hoon main

Marsiya-e-haal-e-dil dohraata jaa raha hoon main
Aur suno tau geet gaata jaa raha hoon main

Jaane kis kis se hamkalaam hota jaa raha hoon main,
Khud apna matlab dhoondta jaa raha hoon main

Is qadar khaayal hain teri nematon se hum
Har nafas ko bas, doharaata jaa rahaa hoon main

Subah e nadaani o shaam e be taaqati sab kat ti chali
Phir wohi kissa-e-adam banaata jaa raha hoon main

Phir bujhi aag e aasmaani, raat aayi baahein khole,
Kuch samajhta kuch samjhaataa  jaa raha hoon main

Dil ko aksar baksh deti hai nematein qismat
Jaane kis gham pe ab muskuraataa jaa raha hoon main

Kya kahaa hai sher tum ne ab ke aai maazoor,
Ibn e mariam ko saans deta jaa raha hoon main