Monday, 2 May 2011

rawaani e dard

Dard hai bah rahaa lahoo bankar
Woh tau aaye nazar rafoo bankar

Sad chaak garebaan hai wale mera
Yaad e maajhi rahi, aabroo bankar

Baarha roka naakaami e shouq wale
khwahish e yaar rahi justju bankar

Ham ko har hadd e aashiqui maaloom
Daad aata hai,ehsaan- e - rubaru bankar

Unke aage tau kabhi lab hile hi nahin
Aah o fughaan nikhre guftgoo bankar

Har mauzoon pe jhaa gaya maazoor
Hue kaamil,aashna kabhoo bankar

Sunday, 1 May 2011

Haal e behaal

Dil ka haal nahin behaal
Phir kyun jeena hai muhaal

Lo aatish e ishq ab zor pe hai
Tinkon ka dher khoob sambhaal

Kya mazaaq hai gar marham
Har gham ka hai yaan visaal

Fikr jo thehri yeh zeest apni
Kyun ho na madaar e husn o jamaal

Soo-e-sehra chala baad e saba ke sang
Tikti kahaan aakhir is tarah ka maal

Is waqt..

Mol chukaana hota hai har shaadi ka yahaan
Aansu mein tola jata hai har hansi ka yahaan

Hua hai kaun, kis pe mehrbaan yahaan
Bewafaai hai tareeka Aashnaai ka yahaan

Hai sabaat ek khwaab e wahshee ab bhi
Daad kya paayega koi, dillagi ka yahaan

Paya na laakh dhoondh ke ham ne ai dost
Ma'ani e aijaaz e jaan daahi ka yahaan

Do boond hansi ko tarasta hoon maazoor
Baazaari hain hunar har khushi ka yahaan

raat ka dard

Phir se chhayye hain kaalee raatein
Dil dehlaati hai firaq ki raatein

Khayaal e yaar ajab nuskha tha
Jaagte jaagte kaate wehshi raatein

Har taare mein bhed unka nayaa paata hoon
Kyon na pyaare lage aakhree raatein

Kaun shamaa kaun parwaana hai
Dil jalaa hai aur bujhee raatein

Kaasa hai par likha bahut hai
Hai koi musalsal kahaani raatein

Maah o anjum bas bahaana hai
Kis ke liye sajti sanwartee raatein

Tere paayal sannaate mein haaye
Kaise din the aur thee kaisi raatein

Josh o junoon ajab tha us waqt
Kya kya fasaane banaatee raatein

Siyaahi mein ghultee noor ki boondein
Kya kya fusoon dikhlaatee raatein

Dard ka nagma band ho maazoor
Aankhein kholo chaayee raatein

Dil e Muztar

Phir se waqf e umeed e taameer hai dil
Eent se eent jodne ki taaseer hai dil

Aag e nau panapti hai har simt yahaan
Jaane kis diljale ki jageer hai dil

khaamiyaan numayaan hain har ja mujhe
Kaun se shaks ka dilgeer hai dil

Har nafas aati hai un aankhon ko liye
Sach hai yaaron koi zanjeer hai dil

Khud apna ilaaj e ghum kiye hain ham ne
Sainkadon nuskhon ka zambir hai dil

Khwaahon ki rawaani liye phirti hai mujhe
Maazoor ho koi bhi, inaamgeer hai dil

Shab e furqat

Har zakhm chiragaan hai, aaghaaz e shab e furqat hai
Yaad e yaar mehrbaan hai, humsaaz phir zulmat hai

Dil ko soo-e sehra phir liye jaati hai ummeed e taameer
Apni khwaahon se lipti hui, raqs karti hui, wehshat hai

Sardaari e kaar e jahaan rakhta tha peet kar hum ko
Tarq e taalluq kya qayamat thi, ab fursat hi fursat hai

Zulf hain sona chaandi badan surkh lab aankhein neel
Sar se taa paa e naaz, kya kahein unki kya rangat hai

Kabhi ghoonghat mein chup jaana kabhi aansoo chalkaana
Yoon unki adaayein hai, aur ek apni nazaakat hai

Anjum e chashm

Dil ka pyaala e naa paak bhi aakhir chalak gayi
Unki aankhon mein jo ek anjum chamak gayi

Juz phool daali mein tha hi kya, lachak gayi
Hawa ka chaunka, manchalaa mausam, bahak gayi

Jakad ke rakha tha laakh naakaamion ke tale
Na jaane chashm se kaisi yeh hasrat tapak gayi

Yaad e yaar e khush mizaaj ek nusqha tha aakhir
Zulmat e shab e firaq bhi dekho mehak gayi

Haan kiya tarq e ta'alluk, haan rahi na koi nisbat
Ishq mit-ta kahaan, aakhir lo, sholaa bhadak gayi

Haal kuch anbanaa chashm behka sa hai maazoor
Kin choodion ki yaad, dil e wehshi mein khanak gayi

Umr e rafta

Phir se woh dil e gudaaz kahaan se laaoon
Woh Ishq ka dereena andaaz kahaan se laaon

Dil e khoongashta e jafaa se poocha us ne
Mera woh Aashiq e jaanbaaz kahaan se laaoon

Baal o par bikhre hain ab tau chaar soo ai gul
Phir se, himmat e parwaaz kahaan se laaon

Karta bayaan e shiddat e shouq ham tau hargiz
Saamne unke magar alfaaz kahaan se laaoon

Sau moonh se deta main jawaab e ahl e sitam
Sar kalam hai magar, awaaz kahaan se laaoon

Baaki hai lahu dil mein,jigar sad chaak nahin
Woh ada e kaamil e majaaz kahan se laaon

Jo zulmat e naakaami e ishq se ubhraa na kabhi
Asar-e-ishq o junoon ka Jawaaz kahaan se laaon

safar e dil

Jis kadar yeh jang ladta jaa rahaa hoon main,
Kaun samjhe bas ke jeeta jaa raha hoon main

Marsiya-e-haal-e-dil dohraata jaa raha hoon main
Aur suno tau geet gaata jaa raha hoon main

Jaane kis kis se hamkalaam hota jaa raha hoon main,
Khud apna matlab dhoondta jaa raha hoon main

Is qadar khaayal hain teri nematon se hum
Har nafas ko bas, doharaata jaa rahaa hoon main

Subah e nadaani o shaam e be taaqati sab kat ti chali
Phir wohi kissa-e-adam banaata jaa raha hoon main

Phir bujhi aag e aasmaani, raat aayi baahein khole,
Kuch samajhta kuch samjhaataa  jaa raha hoon main

Dil ko aksar baksh deti hai nematein qismat
Jaane kis gham pe ab muskuraataa jaa raha hoon main

Kya kahaa hai sher tum ne ab ke aai maazoor,
Ibn e mariam ko saans deta jaa raha hoon main