Sunday, 1 May 2011

Umr e rafta

Phir se woh dil e gudaaz kahaan se laaoon
Woh Ishq ka dereena andaaz kahaan se laaon

Dil e khoongashta e jafaa se poocha us ne
Mera woh Aashiq e jaanbaaz kahaan se laaoon

Baal o par bikhre hain ab tau chaar soo ai gul
Phir se, himmat e parwaaz kahaan se laaon

Karta bayaan e shiddat e shouq ham tau hargiz
Saamne unke magar alfaaz kahaan se laaoon

Sau moonh se deta main jawaab e ahl e sitam
Sar kalam hai magar, awaaz kahaan se laaoon

Baaki hai lahu dil mein,jigar sad chaak nahin
Woh ada e kaamil e majaaz kahan se laaon

Jo zulmat e naakaami e ishq se ubhraa na kabhi
Asar-e-ishq o junoon ka Jawaaz kahaan se laaon

No comments:

Post a Comment